Sunday, June 3, 2012

" bharat ki sanvedhaanik sansthaaon main baithe vishesh chor ????

" bharat ki sanvedhanik sansthaaon me baithe......vishesh -- chor "..????
       priya mitro , saadar namaskaar !! aaj mera " transletar khraab hai , pichle 3-4 dino se main koshish kar raha hoon ise durust karne hetu lekin mujhse ye theek nahi ho paya hai , isliye kripya aap is " fouji " type ki inglish se kaam chlaa len . 4 dino se main koi lekh aap tak nahi panhuchaa paya , to maine doosron ki kating se kaam chlaayaa , lekin fir bhi mujhe ek azib si ghabrahat si mahsoos hoti rahi ki main aap tak apni baat nahi bhej sakaa . jaise koi chugal khor do din koi chugli kisi ki naa kare to use pet dard hone lagta hai waise hi mujhe ho raha thaa . to aaj maine faisla kar liya ki chaahe jaise bhi ho , main apni baat aap tak awshya panhuchaaunga. to hazir hai aaj ki baat . yaani anna hazaare or babaram dev ji ki baat ! yaani team kezriwal ki baat !! or ant main hmari shreef sarkaar ke ujle prdhanmantri ji ki baat !!!!
                          bharat sarkaar ke prwkta ji farmate hain ki kuch log jo videshi taakton ke haath main khelkar desh ki janta ko bhadka rahe hain or desh ki sanvedhanik sansthaaon kaa anaadar kar rahe hain , kyonki garima ko ghataa rahe hain . dosto aaj maine sarkaar ka paksh pahle is liye rakhaa hai kyonki mujh par ye dosh naa lage ki main bhi anna teem ya baba ram dev ji ki teem ka aadmi hoon ??  jaise hi teem anna ne hmare prdhanmantri ji smet 14 or kendriya maanniya mantriyon par aarop lgaaye to sarkaari or sirf congresi prwaktaaon ne pahle to ise anargal aarop sidh karne ki koshish ki , fir jab dastavez dikhaye gaye to kewal prdhanmantri ji ne ek chota saa byaan de diyaa ki " agar mujh par zraa saa bhi dosh sidh ho gyaa to main apna " raajnitik keriyar "tyaag doonga " . u.p.a. gathbandhan ke kisi doosre dal ne is byan ka smarthan tak nahi kiyaa or naa pahle kabhi dhang se lagne wale aaropon par congres ka saath dete hain u.p.a. gathbandhan ke sahyogi rajnitik dal kyon....????? koi batayega ...?sirf congres ke leader hi bechaare kahte hain ki sansad ka apmaan mat karo , prdhaan mantri ji ka apmaan mat karo ...wagerah - wagerah . hmari naani to kahti thi ki beta har aadmi ki izzat uske apne haathon main hi hoti hai !!yanha bhi to yahi baat laagu hoti hai ......!! 
                   choron - thagon or badmaashon ko pahle rajnitik dalon ne apna partiyon ka block prdhaan , jila pardhaan or pardesh pardhaan banaya , jab koi vishesh virodh nahi huaa to in rajnitik dalon ke munh ko jaise khoon lag jata hai , to inhone in badmashon ko vidhayak or saansdon ki tikten dena bhi shuru kar diya , dheere dheere sabhi dal kamobesh aisa hi karne lage . isiliye aaj sansad main paksh or vipaksh main koi bhed nazar hi nahi aataa . tab mushkil ye ho gayi ki janta ke saamne koi vikalp hi nahi bachaa .bkol maya wati ji ki ek taraf saanp naath to doosri taraf naag naath ?? ab to bichchu naath , taantiyaa naath or madhumakhkhi naath jaise naa jaane kitne zahreele neta or rajnitik dal ban gaye hain . janta ki baat karne wala koi dikhayi nahi deta !!!kyon ...kyaa koi bataayega ...?? 
             kal ek chor hmaare shahr main pakda gaya . wo ek moter cycle chura raha thaa ki tabhi kisi ne dekh liyaa to wanha patrkar or pulis ji bhi panhuch gaye to wo choor jor se bola ki ...suniye - suniye mujh pulis par poora vishwas hai . pulis is maamle ki jaanch karle agar mera koi dosh sidh ho gayaa to main apna ye keriar tyaag doonga , ...sab chonk gaye !!! ki bhyi ye kyaa thaane daar ji bola abe chal thaane main tujhe btaata hoon , teri jaanch beta ho gayi or tujhe sazaa bhi abhi main or ye janta degi chal ....thaane . !! 
                          hmaara sistam hi kuch aisa hai ki chote chor ko to foran sazaa or badaa chor pahle byaan dega fir jaanch hogi or fir nyaayaalya main maamla chalega fir kanhi jaakar doshi sidh huaa to sazaa hogi . isi mudde ko teem anna uthaa rahi hai jise bharat ki sanvedhanik sansthaaon main kabja kiye baithe neta type chor samjh kar bhi samjhna nahi chaahte hain kyonki sidhi si baat hai ki agar wo wastav main samjh kar wo kaam kar diyaa jo janta chaahti hai to unhe koun bachaayega ....????????
                                  to bhaaiyo or bahno jaisa ki anna ji ne aahwaan kiya hai ki ab baaten nahi kaam karne kaa wakt aa gayaa hai .....kraanti ki aawshyakta hai ...is liye jaago or jagaao !! bhrasht neta ko dekhna sun na or uska swagat karna chod do chaahe wo aapki party ka hai ya aapke ilaake ka hai ya fir aapke dharm ya jaati ka netaa hai !! bas bure aadmi ko dutkaar do !! use maan mat do , uska sanmaan mat karo ...apne aap wo samjh jaayega or wo bhaag jaayega ...!! agar fir bhi wo naa maane to use vote mat do !! abhi se koi badhiya aadmi dekhna shuru kar do taaki chunaavon main koi mushkil naa ho . or aap bhi ek man se shareef netaaon kaa saath do unhe jitaa or apni partiyo ke netaaon ko majboor karo ki wo sahi vykti ko tiket deven !! agar aap rajnitik kaarykarta hain to !!

                                to mitro aap bhi hmeshaa ki tarah apne vichaar hmaare tak awshya panhuchaayen hmaare blog or grup main jaakar type karen jiska naam hai " 5th piller corrouption killer " aaj hi log on karen www.pitamberduttsharma.blogspot.com.     

No comments:

Post a Comment

"निराशा से आशा की ओर चल अब मन " ! पीताम्बर दत्त शर्मा (लेखक-विश्लेषक)

प्रिय पाठक मित्रो !                               सादर प्यार भरा नमस्कार !! ये 2020 का साल हमारे लिए बड़ा ही निराशाजनक और कष्टदायक साबित ह...